Mazak ban kar rahe gayi zindagi
Riste nasoor si chubhti zindagi
Har pal maut ko tarasti zindagi
Haatash bebas lachar zindagi
Lamhe lamhe ke bhojh tale dabi zindagi
Roshni ko tarasti andheron mein phasi zindagi
Raste talashti bhatki si zindagi
Bheegi palkon se bhojhal zindagi
Halaat se haari, waqt ki maari
Khwaishon ke khoon se sani majboor zindagi
Khushi se mehroon gamgeen zindagi
Bholi bhali masoom par hataash zindagi
Na ummedi ke dal dal mein dhasi zindagi
Har shaksh har insaan se darti zindagi
Sukoon ko dhoonti pareshan zindagi
Duniya ke melee mein akeli zindagi
Dard se jhooghti, aansuon se bhari
Tanha akeli hai abhishap zindagi
Pal pal marke bhi zinda zindagi
Muskan sajaye roti se zindagi
Mazak ban gayi sanjeeda zindagi
Kismet se haari, halat se jhagadti
Hataash behaal bebas zindagi
Kyun mazak ban kar rah gayi zindagi
Han shayad mazak hi ban kar reh gayi zindagi
Discover more from Sumi Dhody
Subscribe to get the latest posts sent to your email.