Ehsaas ki sab kuch wahi hai
Ehsaas ki na badlega kuch bhi
Ehsaas ki bewageh hai umeed
Ehsaas ki rahega sab yunhi
Ehsaas ki ab lena hai faisla
Ehsaas ki ab badhane hain kadam
Ehsaas ki na dekhna hai sapna koi
Ehsaas ki dabani hai trishna sabhi
Ehsaas ki waqt kho gaya
Ehsaas ki dil toot gaya
Ehsaas ki aas chhut gayi
Ehsaas ki zindagi ruth gayi
Ehsaas ki neeras hai jeevan
Ehsaas ki mitt chuka astitva
Ehsaas ki dafan hai har ichcha
Ehsaas ki chuth chuki hai har aas
Ehsaas ki khatam ho gaye jazbaat
Ehsaas ki jhoothe tha har khwab
Ehsaas ki lutte hai armaan
Ehsaas ki antt ka hai agaaz
Ehsaas ki na hai ab aas
Ehsaas ki ab na badle ka andaaz
Ehsaas ki kismat ki syaahi hai kaali
Ehsaas ki na mitegi yeh kaalak kabhi
Ehsaas ki bhool chuki hai duniya
Ehsaas ki toot gaya hai brahm
Ehsaas ki khali hai khushiyon ki tijori
Ehsaas ki bhar gayi hai gam ki katori
Ehsaas ki ab bas yehi hai
Ehsaas ki ab yehi zindagi hai
Ehsaas ki sehan karo jab tak hai saans
Ehsaas ki chodd do ab vishwas
Ehsaas ki ab shaant ho jao
Ehsaas ki ab aasun na bahao
Ehsaas ki bas aur na socho
Ehsaas ki bas jo hai usse sahejo
Ehsaas ki bas aur nahin
Ehsaas ki jo hai wahi sahi
Ehsaas ki bas aur nahin
Ehsaas ki jo hai wahi sahi……..
Discover more from Sumi Dhody
Subscribe to get the latest posts sent to your email.
So beautiful ❤️